|
Post by Atif Mirza on Jul 22, 2008 21:00:50 GMT 6
Rafi Sahib ka taalluq Burewala say hai. Aik insaan dost tanzeem kay sarbaraah, aik senior shaer, samaji karkun, Pakistan Writers Club kay baani aur sarbarah haiN. Bahut umda aur achhooti shaeri kartay haiN.
Naam: Muhammad Rafi Ahmad Qalami naam: Rafi Tabasum D O Birth: 18/12/1967 (40 +) Shehr: Burewala Punjab Pakistan Postal Adress: 12/w housing scheme Burewala Mob No: 0334 7194709 Phone (Res): 067 3771609 E Mail: - rafi_tabasum@yahoo.com
- rafi_tabasum@hotmail.com
- rtabasum@gmail.com
Web: groups.yahoo.com/group/pakistanwritersclub/ Taleem: Udu fazil, Dimloma in Dispensing Paisha: Mulazmat Health Deppt Govt of Punjab Takhleeqaat: Urdu Ghazaliyat ka majmoo,a (KirchiaN Halaat Ki), Adabi resala Qalam Dost Zair-e-TAbaa: Mazahia Shairi par mabni ketab, Mazahia mazameen par mabni ketab
Baaqi aap khud poochh lijiay.
|
|
|
Post by Zagham on Jul 22, 2008 21:54:57 GMT 6
rafi bhai kia hal hain. phalay to main aap say ye poochna chahon ga k nasri nazm k baray main aap k kia khayalat hain. is pe itni ziada lanat mulamat kun ki gae. agar wazn ki baat ki jae to wazn ko to shayad hali bhi aik rukavat samajhtay thay.agar mutshairon aur sahel pasandon nay isay apnay liay namat samjha to bohot say acchay shairon nay bhi bohot achhi nasri nazmain likhi hain, tu is main shair ka qasoor hoa shairi sinf ka nahin. jabke acchi nasri nazmon main bhurpoor shairana taassur bhi milta hay .tu kia waja hay k is ki itni ziada mukhalfat ki ja rahi hay
zagham abidi
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Jul 23, 2008 21:41:50 GMT 6
Rafi sahb aap ko log dr kiyun kehte hain, aap mbbs hain ya phd ya kuch or ?
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 24, 2008 12:13:59 GMT 6
rafi bhai kia hal hain. phalay to main aap say ye poochna chahon ga k nasri nazm k baray main aap k kia khayalat hain. is pe itni ziada lanat mulamat kun ki gae. agar wazn ki baat ki jae to wazn ko to shayad hali bhi aik rukavat samajhtay thay.agar mutshairon aur sahel pasandon nay isay apnay liay namat samjha to bohot say acchay shairon nay bhi bohot achhi nasri nazmain likhi hain, tu is main shair ka qasoor hoa shairi sinf ka nahin. jabke acchi nasri nazmon main bhurpoor shairana taassur bhi milta hay .tu kia waja hay k is ki itni ziada mukhalfat ki ja rahi hay zagham abidi Pehlay to maiN shukria ada karooN ga Atif Mirza aur dosray dostooN ka keh mujhay is mehfil maiN apnay khayalaat ka izhaar karnay ka mauqa diya Zagham sahib maiN nasri nazm ko shairi nahi maanta kioNkeh jo hay hi nasriiii usay shairi kaisay kaha ja sakta hay aap ki baat say ittefaaq kartay huay yehi kahooN ga keh sahal pasandooN kay liay yeh shairi ho sakti hay haaN agar koi acha khayal urooz o bahoor ki qayood bardaasht na kar sakay to usay kisi nasri sinaf kay hwalay kar dena chahiay na keh shairi ka imtehaan lainay kay liay usay nazm ka naam day dia ja,ay
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 24, 2008 12:18:22 GMT 6
Rafi sahb aap ko log dr kiyun kehte hain, aap mbbs hain ya phd ya kuch or ?
Bilal Mirza sahib meri roti rozi ka intezaam Khuda nay mehkma seht kay zima laga,ya hay maiN Tehsil Head Quarter Hospital Burewala kay Emergency Deppt maiN bataur Dispensor apnay fra,iz anjam daeta hooN dostooN ki muhabat hay keh wo Dr kehtay haiN
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jul 24, 2008 13:35:20 GMT 6
Zaigham Bhai! Nasri nazm ko jo log teesri sinf kay taur per mutaarif karana chahtay haiN woh yeh daikh laiN keh InsaanoN maiN teesri sinf kon si hai. Aap yeh baat jantay haiN keh insaanoN ki iss teesri sinf kay zindagi maiN kia contributions haiN. Rafi sahib nay bahut darust farmaayaa hai keh "agar koi acha khayal urooz o bahoor ki qayood bardaasht na kar sakay to usay kisi nasri sinaf kay hwalay kar dena chahiay na keh shairi ka imtehaan lainay kay liay usay nazm ka naam day dia ja,ay". JahaN tak baRay shuaraa ki baat hai keh unhoN nay bhi nasri shaeri ki tau yeh koi saboot nahiN ho gayaa nasri nazm ki zindagi ka. MaiN tau yeh kehta hooN keh agar kissi ko wazan maiN shaeri karni aati ho woh yeh harkat kiyooN karay. Sehl pasandi ka sahara kam himmat log letay haiN. Agar aap kam himmat haiN tau aap ko bhi nasri shaeri shuroo kar deni chahiay.
|
|
|
Post by Zagham on Jul 24, 2008 17:49:14 GMT 6
atif sahab aap nay bilkul theek kaha k is sinf nay abhi tak teesri sinf ki tarha zindagi main koi kirdar ada nahin kia. is ki kai wajoohat hain.phalay to main ye arz ker doon k nasri nazm say phalay azad nazm aai. azadnazm allama iqbal ki zindagi hi main aa gai thi. aur iqbal ka is kay baray main ye khana thak ye apni mot aap mer jae gi. lakin hoa is k beraks. waja sirf ye hay k azad nazm ko ibtada main hi acchay shura mil gaey . doosra azad nazm hamari shairi ravayat ka satth bhi daiti hay . hamaray ha'n shairi main aik aahang ,taranuum aur mosiqiat hay.hamaray han kuch acchi nasri nazmain likhnay k bavajood baz acchay shira nasri nazm likhna hi is liay chor gaey ka nasri nazm in ravayat ka sath nahin daiti.lakin is k bavajood main yekhana chahoon ga k abhi nasri nazm ko aae hoeay bohot kum arsa hi hoa hay . is ka
faisla waqt hi karay ga. ho sakta hay ye bhi haiko aur sonet ki tarha nakami say dochar ho jae
rafi bhai aap is k baray main kia khatay hain zagham abidi
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 24, 2008 18:27:47 GMT 6
Dr sb mujhe naein pataa shaeri kia hoti hai, magar main ne jab apne jazbaat likhnay chahe tau mujhe yeh sinf achhi lagi. Aik lihaz se ye baat bhi theek lagti hai keh sehl pasandon aur meri tarah shaeri na jaan-nay walon ne apne aap ko shaer kehlwanwee ke lieay iss tarah kay harbe ke tor par nasri shaeri ko apna lia hai. Main ne bhi aik nasri nazm likhi thi. Ab ehsaas ho raha hai keh agar likhna hai tau shaeri likhain ya nasr. Darmian main latakna achi baat naein.
|
|
|
Post by Zagham on Jul 25, 2008 13:19:35 GMT 6
rafi bhai 1 aap ki koi book aaie hay.
2 aap shairi k ilava nasr bhi likhtay hain ya nahin. agar likhtay hain to kis tarha ki nasr aap likhtay hain
3 aaj ke dor ka aap ka pasanddeeda shair kon hay
zagham abidi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 25, 2008 23:02:25 GMT 6
atif sahab aap nay bilkul theek kaha k is sinf nay abhi tak teesri sinf ki tarha zindagi main koi kirdar ada nahin kia. is ki kai wajoohat hain.phalay to main ye arz ker doon k nasri nazm say phalay azad nazm aai. azadnazm allama iqbal ki zindagi hi main aa gai thi. aur iqbal ka is kay baray main ye khana thak ye apni mot aap mer jae gi. lakin hoa is k beraks. waja sirf ye hay k azad nazm ko ibtada main hi acchay shura mil gaey . doosra azad nazm hamari shairi ravayat ka satth bhi daiti hay . hamaray ha'n shairi main aik aahang ,taranuum aur mosiqiat hay.hamaray han kuch acchi nasri nazmain likhnay k bavajood baz acchay shira nasri nazm likhna hi is liay chor gaey ka nasri nazm in ravayat ka sath nahin daiti.lakin is k bavajood main yekhana chahoon ga k abhi nasri nazm ko aae hoeay bohot kum arsa hi hoa hay . is ka faisla waqt hi karay ga. ho sakta hay ye bhi haiko aur sonet ki tarha nakami say dochar ho jae rafi bhai aap is k baray main kia khatay hain zagham abidi Zegham sahib maiN nahi samjhta k nasri nazm azaad nazm ki tarah koi jaga bana lay gi is ki waja wohi farq hay jo shairi aur nasr maiN hota hay azaad nazm ki mauseeqiyat ghunaiyat aur behr nay usay zindagi bakhshi hay bahar haal yeh mauseeqiyat aur behr bhi to azaad nazm par aik tarah ki pabandi hay paband aur azaad nazm maiN sirf qafia aur radeef aur behr kay arkaan ki kami baishi hi ka farq hay jabkeh nasri nazm maiN is ka tasawur tak nahi aur yehi baat nasri nazm ko shairi maiN daakhlay ki ijazat nahi day rahi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 25, 2008 23:05:23 GMT 6
Dr sb mujhe naein pataa shaeri kia hoti hai, magar main ne jab apne jazbaat likhnay chahe tau mujhe yeh sinf achhi lagi. Aik lihaz se ye baat bhi theek lagti hai keh sehl pasandon aur meri tarah shaeri na jaan-nay walon ne apne aap ko shaer kehlwanwee ke lieay iss tarah kay harbe ke tor par nasri shaeri ko apna lia hai. Main ne bhi aik nasri nazm likhi thi. Ab ehsaas ho raha hai keh agar likhna hai tau shaeri likhain ya nasr. Darmian main latakna achi baat naein.
Sania Sajjad sahiba agar aap acha soch sakti haiN to yaqeenan shairi bhi kar sakti haiN mutalia yaqeenan aap kay shaeri zauq ko ubharay ga nasri nazm kay chakar main par kar aap haqeeqee shairi say door ho jaiN gi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 25, 2008 23:13:17 GMT 6
rafi bhai 1 aap ki koi book aaie hay. 2 aap shairi k ilava nasr bhi likhtay hain ya nahin. agar likhtay hain to kis tarha ki nasr aap likhtay hain 3 aaj ke dor ka aap ka pasanddeeda shair kon hay zagham abidi Zegham sahib 1 1995 maiN mera urdu ghazaliat ka majmooa (KirchiaN Halaat Ki) shaya ho chuka hay us ka back flap marhoom Ashfaq Ahmad sahib nay aur deebacha aappaa Banu Qudsia aur Jnab Aslam Kaulsari sahib nay likha tha 2 maiN nasr maiN tanz o mazah likhta hooN khaas taur Burewala maiN hinay wali ketaabooN ki roonumai maiN ketaab aur sahib e ketaab kay hwalay say meray mazameen bohat pasand kiay jatay haiN in mazaameen kay elawa maiN un khakooN ko aham samjhta hooN jo maiN nay un bay naam kirdarooN kay baray maiN likhay haiN jinhaiN maiN nay apnay bachpan maiN daekha tha jo har mahalay maiN nazar aatay thay magar ab nazar nahi aatay maslan chooriyaN baechnay wala banjara, mahalay ki woh aurat jo har ghar main larai karwana apna farz samjhti thee isi tarah kay dosray kirdaar jin ka kirdaar ab mu,ashray say khatam ho raha hay 3bela shuba Fraz is daur ka sab say ziada pasand kia janay wala sha,er hay
|
|
|
Post by Zagham on Jul 26, 2008 15:33:41 GMT 6
rafi bhai kuch burewala ki adbi fiza k baray main to bataiay
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Jul 26, 2008 21:38:02 GMT 6
Rafi Saheb!
- Kia aap aaj kal ki adbi fazaa se mutmain haiN ya nahiN?
- Internet ka adab maiN kirdaar kia hai?
- Kia internet hamaiN kitaaboN say door nahiN kar raha hai?
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 26, 2008 23:28:59 GMT 6
Mohtrum Rafi sb! Salaam! aap apni zindagi kay baare main bhi aagaah karain, maslan Shadi kab huwi, kitne bache hain, Kitne bare hain aur kia karte hain.
|
|