|
Post by Atif Mirza on Jul 22, 2008 20:48:08 GMT 6
Razi-ud-Din Razi Sahib ka taarruf kia karaoN, Aap aik Manjhay huway SaHafi, kuhna mashq shaer, kaamyaab colum nigaar aur bahut hi achhchhay insaan haiN. Multan ki pehchaan kay liay unhoN nay apnay career maiN bahut kaam kia hai. Kayee kitaboN kay musannif haiN. Tehqeeq say bhi khaSa lagaao rakhaty haiN.
Kuchh tafseel jo mujhay dastiyaab huwi hai aap ki basaratoN ki nazr kar raha hooN:-
Name: Razi-ud-Din Razi Date of Birth: 7th may 1964 Native City: Multan Books: Author of 13 books including three collections of poetry Profession: Journalism .... Head of research Waseb TV Multan Postal Address: 73-A Jaleelabad Colony Multan Pakistan Fone: 03006359941 email: poetrazi@gmail.com Web: www.sukhanwar.net
Baaqi Aap log khud hi daryaaft kijiay.
|
|
|
Post by Zagham on Jul 22, 2008 22:10:16 GMT 6
razi bhai kia hal hain kuch arsa phalay mansoor aafaq ki aik kitab NEEND KI NOTE BOOK nazar say ghuzri. unhon nay us main kuch tajarbat zaban k havalay say kiay hoay thay. muslan wo khawb ki jama khawbain bandh ker isay bator qafia istamal ker rahay thay muslan kitabain aur khabain. isi taraha un ka khana tha k ab terkeeb banatay hoay sirf farsi aur arbi hi nahin bulkay ab hindi ko bhi shamil kia ja sakta hay. in sub baton ki daleel wo ye dayta thay k ye sub kuch ab hamari rozmarha ki bolchal main istamal hota hay. aur shairi main roz marha ki zaban istamal honi chahiay is liay is main koi harj nahin.
razi bhai aap is k baray main kia khatay hain. kia waqie ab hamain rozmarha ki zaban ko hi shairi ki zaban banana chahiye zagham abidi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 23, 2008 9:15:23 GMT 6
Razi-ud-Din Razi Sahib ka taarruf kia karaoN, Aap aik Manjhay huway SaHafi, kuhna mashq shaer, kaamyaab colum nigaar aur bahut hi achhchhay insaan haiN. Multan ki pehchaan kay liay unhoN nay apnay career maiN bahut kaam kia hai. Kayee kitaboN kay musannif haiN. Tehqeeq say bhi khaSa lagaao rakhaty haiN.
Kuchh tafseel jo mujhay dastiyaab huwi hai aap ki basaratoN ki nazr kar raha hooN:-
Name: Razi-ud-Din Razi Date of Birth: 7th may 1964 Native City: Multan Books: Author of 13 books including three collections of poetry Profession: Journalism .... Head of research Waseb TV Multan Postal Address: 73-A Jaleelabad Colony Multan Pakistan Fone: 03006359941 email: poetrazi@gmail.com Web: www.sukhanwar.net
Baaqi Aap log khud hi daryaaft kijiay.
shukria aatif bhaai k aap ny mujy ahbaab sy guftagoo ka moqa fraaham kia aap ny jis muhabat sy mera taaraf karaya main us par aap ka mamnoon hoon koshish karoon ga k dost mujh sy jo sawaal karain un k munasib aur barwaqt jawab day sakoon thanx razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 23, 2008 9:29:30 GMT 6
razi bhai kia hal hain kuch arsa phalay mansoor aafaq ki aik kitab NEEND KI NOTE BOOK nazar say ghuzri. unhon nay us main kuch tajarbat zaban k havalay say kiay hoay thay. muslan wo khawb ki jama khawbain bandh ker isay bator qafia istamal ker rahay thay muslan kitabain aur khabain. isi taraha un ka khana tha k ab terkeeb banatay hoay sirf farsi aur arbi hi nahin bulkay ab hindi ko bhi shamil kia ja sakta hay. in sub baton ki daleel wo ye dayta thay k ye sub kuch ab hamari rozmarha ki bolchal main istamal hota hay. aur shairi main roz marha ki zaban istamal honi chahiay is liay is main koi harj nahin. razi bhai aap is k baray main kia khatay hain. kia waqie ab hamain rozmarha ki zaban ko hi shairi ki zaban banana chahiye zagham abidi zagham bhai aap ny mansoor afaaq ki kitab k hawalay sy baat ki is main shaq nahin k roz mara ka usloob hi poetry ka hissa banta hy aur waqt guzarnay k saath saath is main tabdeeli aati rehti hy laykin is main aik baat ka khyaal rakhna hota hy k hum jo lafz istamaal kar rahay hain wo shairaana husn bhi rakhta hy ya nahin khaab ki jama khaabain istamaal karna urdu main munasib nahin lagta haan albata siraaiki main khaab ki jama yehi hy mansoor afaaq sahab ka taaluk choonkay siraaiki ilaaqay sy hy is liay ghaliban unhon nay siraaiki zaban k is lafz ko qaafiay k taur par istamal kia hy aur muqaami zubaanon k ilfaz ka urdu poetry main istamaal hota rehta hy jahan tak faarsi aur hindi main izaafat k istamaal ki baat hy to is baaray pehli baat wohi k jahan yeh izaafat mayoobna lagay wahan is main koi hurj nahin laykin jo qwaaneen hamaray bazurgon ny sadion pehlay banaay un main buyaadi tabdeeli k main haq main nahi hoon asal main aaj k daur main boht sy shaairon ko yeh maloom hi nahi hota k konsa lafz hindi ka hay aur konsa faarsi ya arabi ka jab woh koi ghalat tarqeeb bana laytay hain to phir apni ghalati tasleem karnay ki bajaay is baat par israar karnay lagtay hain k hum nay riwayat say inharaaf kia hy
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Jul 23, 2008 18:44:11 GMT 6
RAZI SB APNI KITABAION KE NAAM SUN-E-TABA'AT KE HISAAB SE TO TEHREER KAR DIJIEY.
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 26, 2008 23:31:16 GMT 6
Sir Razi sb! Zati zindagi ke baare main bhi batain. Shadi kab huvi. Taaleem kirni hai. kitne bache hain kia naam hain aur kitne baRe hain. Kia kia karte hain.
|
|
|
Post by saeedsaeed on Aug 6, 2008 20:08:36 GMT 6
aoa razi shaib accha lga ap ka taaurf dekh ky main khuch sawalat karna chahta hoon , umeed karta hoon ap mind nhin karain gain, agar kbhi mujhy kisy hawaly sy ap ka interview kany ka mooqa milta to ye sawal main ap sy zaroor karta, umeed karta hoon ap kisy sawal ka bura nhin mnayen gian aur sab sawalat ak jawab dain gain
1- pehla share kab kha 2- agar pehly ghazal yad hy to plz share karain 3-piyar, mohabat aur ishq mein kiya farq hy 4- pehly mohabt kab hoye 5-mohabat kitny bar ho sakty hy 6-ap ko sab sy zeyada kon sa poet pasand hy , classics mein sy( sirk aik ) 7- naya likhny waloon mein sy kon pasan hy( sirf aik) 8- poetry mein jaddeyat ki RATT lagy hy , kafi aarsy sy, ye jadedeyat kiya hy 9-Kiya ap multan mein hony waly poetry sy mutmaen hain, 10- urdu poetry k hawaly sy es waqt MULTAN kahan kahra hy
ok sir abhi ye hy kafi ho gaye hain sawal, umeed karta hoon ap kisy bhi sawal ka mind nhin karain gain aur reply karain gain
waiitng Muabshir saeed
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Sept 4, 2008 0:42:16 GMT 6
main boht sust aadmi hoon janab aap ko bakhoobi andaaza ho gia ho ga aap sab itni muhabat sy sawaal kar rahay hain aur main in k jawab nahin day paata asdal main nature of job hi aysi hay magar ab hum ny soch lia hy k aap sy rozana mulaqaat ho ga aap k sawalon k jawab bhi doon ga chaahay rozana aik sawal ka hi jawab kion na doon yhanx razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Sept 4, 2008 0:59:44 GMT 6
RAZI SB APNI KITABAION KE NAAM SUN-E-TABA'AT KE HISAAB SE TO TEHREER KAR DIJIEY.
bilaal bhaai meri kitabon ki tafseel is tara hy sun e ishaat jin k yaad hain likh raha hoon jo baad main yaad aain gy main update kar doon ga 1:muntakhib nazmain 1988 2:woh ishq jo hum sy rooth gia (muntakhib poetry) 3:benazir bhutto prime minister house sy wapsi(politics) 1990 4:aslam baig martial law aur jamhooriat (politics) 5:din badlain gay jaanan (shery majmooa) 1995 6:pakistan.. 1947 say 1997 tak (history) 1997 7:sitaaray mil nahin saktay (shery majmooa) 1999 8:tumhain dil main basaana hy (shery majmooa) 2002 9:aadha such (prose.. column aur khaakay).. 2005 10:raftgaan e multan (prose.. marhoomeen k baray may).. 2006 11: mehaktay harf (multan k naat go shoraa ka intkhab)
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Sept 4, 2008 1:10:37 GMT 6
Sir Razi sb! Zati zindagi ke baare main bhi batain. Shadi kab huvi. Taaleem kirni hai. kitne bache hain kia naam hain aur kitne baRe hain. Kia kia karte hain.
ji main aap ko apnay baaray main bata dayta hoon aap k sawalat ki roshni main jawab day raha hoon meri shaadi 1992 main hui thee shadi sy aik haftay qabl babri masjid ko hindu inthaa pasandon nay shaheed kia tha aur meri shadi par iqbal saghar siddiqui ny yeh column likha tha k kia razi ki shaadi babri masjid ki shahaadat sy mashroot thee main ny garduation ki hy .. meri taleem tasalsal say jaari na reh saki boht kum umri main mujhy job karna parr gaai yani 1983 main jab meri umr 19 saal thee to main journalism sy wabasta ho gia tha ... education waqfay waqfay sy mukamal ki matric 1980 main kia , FA 1986 main hua aur BA 1990 main mayray teen bachay hain aur teenon school going hain hanaan mera barra bayta hy jo 9th class main hy nageen fatima 7th main hy aur sab sy chotti bayti dua fatima pehli jamaat main hy
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Sept 4, 2008 1:12:33 GMT 6
aoa razi shaib accha lga ap ka taaurf dekh ky main khuch sawalat karna chahta hoon , umeed karta hoon ap mind nhin karain gain, agar kbhi mujhy kisy hawaly sy ap ka interview kany ka mooqa milta to ye sawal main ap sy zaroor karta, umeed karta hoon ap kisy sawal ka bura nhin mnayen gian aur sab sawalat ak jawab dain gain 1- pehla share kab kha 2- agar pehly ghazal yad hy to plz share karain 3-piyar, mohabat aur ishq mein kiya farq hy 4- pehly mohabt kab hoye 5-mohabat kitny bar ho sakty hy 6-ap ko sab sy zeyada kon sa poet pasand hy , classics mein sy( sirk aik ) 7- naya likhny waloon mein sy kon pasan hy( sirf aik) 8- poetry mein jaddeyat ki RATT lagy hy , kafi aarsy sy, ye jadedeyat kiya hy 9-Kiya ap multan mein hony waly poetry sy mutmaen hain, 10- urdu poetry k hawaly sy es waqt MULTAN kahan kahra hy ok sir abhi ye hy kafi ho gaye hain sawal, umeed karta hoon ap kisy bhi sawal ka mind nhin karain gain aur reply karain gain waiitng Muabshir saeed mubashir main sawal ko mind kion karoon ga aap k sawal pasand aay aur main aik aadh roz main in ka detail sy jawab doon ga aap ko jo sawal bhi karna hy khul k kijiay main jawab doon ga
|
|