|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jun 3, 2008 0:35:50 GMT 6
kahin kho aay hain apni zubaan khamosh rehtay hain wagarna zulm par hum sub kahan khamosh rehtay hain
jahan paabandian hon boltay hain hum wahan laykin jahan izn e takalum ho wahan khamosh rehtay hain
kisi k naam par ab khud ko deewana nahin kartay kiay yaadon ka sir per saaiban khamosh rehtay hain
baghawat aur itaa_at do hudain hain mukhtalif laykin hum in donon hudon k darmian khamosh rehtay hain
hum apnay haq main khud hi boltay hain waqt aanay par hamaray aashna aur mehrban khamosh rehtay hain
woh kia bachpan tha jab ik doosray sy baat kartay thay razi jub sy huay hain hum jawan khamosh rehtay hain
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jun 3, 2008 19:54:12 GMT 6
Wah Razi Sahib kia khoob soorat ghazal inaayat ki hai aap nay, napay tulay andaaz maiN aik bharpoor ghazal per meri jaanib say daad waSool kijiay.
|
|
|
Post by saeedsaeed on Jun 17, 2008 22:20:51 GMT 6
aoa razi shab ap kaamla kay poet hain waqayee maza aa gya ap ki ye ghazal aprh hy wahh kiya abt hy jee ap ki
take care bye mubashir
|
|
|
Post by Zagham on Jun 23, 2008 18:38:36 GMT 6
razi bhai kuch majboorion ya phir zati mufad k paish-e-nazar hum aik maslahat pasand qom main tabdeel ho gai hain is ravaiay ki tarf bharpoor tanz kia hay aap nay. bhohot acchi ghazal hay . dad qabool kijiay
dr zagham abidi
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Jun 25, 2008 22:14:37 GMT 6
Qabil e ehtaram Razi saheb. AoA Aap ki ghazal aaj parhi, takheer ki maazrat. Bohot umda ghazal kahi hai aap ne. khas tor pur ye sher
baghawat aur itaa_at do hudain hain mukhtalif laykin hum in donon hudon k darmian khamosh rehtay hain
dheron daad qabool kijiey
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jun 25, 2008 22:36:56 GMT 6
kahin kho aay hain apni zubaan khamosh rehtay hain wagarna zulm par hum sub kahan khamosh rehtay hain jahan paabandian hon boltay hain hum wahan laykin jahan izn e takalum ho wahan khamosh rehtay hain kisi k naam par ab khud ko deewana nahin kartay kiay yaadon ka sir per saaiban khamosh rehtay hain baghawat aur itaa_at do hudain hain mukhtalif laykin hum in donon hudon k darmian khamosh rehtay hain hum apnay haq main khud hi boltay hain waqt aanay par hamaray aashna aur mehrban khamosh rehtay hain woh kia bachpan tha jab ik doosray sy baat kartay thay razi jub sy huay hain hum jawan khamosh rehtay hain Janab Razi Sb! AoA. Muta^sir kun hai aap ka kalam. Her aek sh^er per be sakhta daad dene ko ji kar raha hai. mere paas woh alfaz nahin jin k thru aap ko daad de sakoon bas aap meri janib se bahot si daad qabool kay lain.
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 8, 2008 1:16:56 GMT 6
Wah Razi Sahib kia khoob soorat ghazal inaayat ki hai aap nay, napay tulay andaaz maiN aik bharpoor ghazal per meri jaanib say daad waSool kijiay.
ghazal passand karnay ka shukria thanx razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 8, 2008 1:20:53 GMT 6
aoa razi shab ap kaamla kay poet hain waqayee maza aa gya ap ki ye ghazal aprh hy wahh kiya abt hy jee ap ki take care bye mubashir thanx mubashir razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 8, 2008 1:22:51 GMT 6
razi bhai kuch majboorion ya phir zati mufad k paish-e-nazar hum aik maslahat pasand qom main tabdeel ho gai hain is ravaiay ki tarf bharpoor tanz kia hay aap nay. bhohot acchi ghazal hay . dad qabool kijiay dr zagham abidi drust kaha aap nay zagham ghazal pasand karnay ka shukria razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 8, 2008 1:24:08 GMT 6
Qabil e ehtaram Razi saheb. AoA Aap ki ghazal aaj parhi, takheer ki maazrat. Bohot umda ghazal kahi hai aap ne. khas tor pur ye sher baghawat aur itaa_at do hudain hain mukhtalif laykin hum in donon hudon k darmian khamosh rehtay hain dheron daad qabool kijiey dhairon nawazish janab razi
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 8, 2008 1:25:37 GMT 6
kahin kho aay hain apni zubaan khamosh rehtay hain wagarna zulm par hum sub kahan khamosh rehtay hain jahan paabandian hon boltay hain hum wahan laykin jahan izn e takalum ho wahan khamosh rehtay hain kisi k naam par ab khud ko deewana nahin kartay kiay yaadon ka sir per saaiban khamosh rehtay hain baghawat aur itaa_at do hudain hain mukhtalif laykin hum in donon hudon k darmian khamosh rehtay hain hum apnay haq main khud hi boltay hain waqt aanay par hamaray aashna aur mehrban khamosh rehtay hain woh kia bachpan tha jab ik doosray sy baat kartay thay razi jub sy huay hain hum jawan khamosh rehtay hain Janab Razi Sb! AoA. Muta^sir kun hai aap ka kalam. Her aek sh^er per be sakhta daad dene ko ji kar raha hai. mere paas woh alfaz nahin jin k thru aap ko daad de sakoon bas aap meri janib se bahot si daad qabool kay lain.
thanx
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jul 8, 2008 21:21:29 GMT 6
Razi Sahib! Klassic ghazal hai, her baar aik naya lutf deti hai yeh ghazal. Daad hazir hai.
|
|