|
Post by Atif Mirza on Jul 21, 2008 23:47:20 GMT 6
KABHI TAU DIKHLAAO CHAAND CHEHRAA
Udaas lamHoN ki meethi yaadoN ko saath rehnay dau jaan-e-jaanaaN! GhamoN ki talkhi ko khush dili say muji ko sehnay dau jaan-e-jaanaaN! Guzartay lamHoN ko rok kar karo gi kia kuchh bataao mujh ko? Yeh waqt tau aik behta darya hai, iss ko behnay dau jaan-e-jaanaaN!
Tumhi ko dekha, tumhi ko chahaa, tumhaiN hi dil maiN basaa liya hai Meray liay ajnabi theeN pehlay, ab apnaa tum ko banaa liya hai Kuchh aisay din maiN bitaa chukaa hooN keh khaali khaali theeN mairi aaNkhaiN Ab inn kay pardoN kay peechay maiN nay tumhaaraa chehraa chupaa liya hai
Yeh zindagi hai azaab saari jo bin tumharay guzar rahi hai Yeh bin tumharay guzar rahi hai, mujhay praishaan kar rahi hai Tumhari Soorat hi mairi aaNkhoN kay saamnay jhilmilaa rahi hai Tumhari yaadoN ki chaaNdni ab tau mairay dil maiN utar rahi hai
Meri umeedaiN aur aarzooaiN jo raNg laaieN tau kia bura hai? Hamaray dil maiN khush ki kalyaaN o khil hi jaaieN tau kia bura hai? Hai kia bura gar udaasiyoN ki khizaaiaN hum say rahaiN alaihadaa? Hamari chaahat ki sar zameeN per bahaaraiN aaiaN tau kia bura hai?
Kabhi tau pooray hoN hum nay dekhay thay saath rehnay kay khwaab saaray Kabhi Haqeeqat ki aab thehraiN jo saamnay haiN saraab saaray Kabhi taSawwur ki sar-zameeN say nikal kay aao tau saamnay tum Kabhi tau dikhlaao chaaNd chehraa, haTaao iss say Hijaab saaray
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 22, 2008 2:08:50 GMT 6
Atif Sahib! Kamaal hunar wai se aap nazm ko batadreej saath le k chale hain. Aur nazm ko bil aakhir aik mantaqee anjaam tak ponchaya. Meri jaanib se dheron daad wasool kijiay.
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Nov 20, 2008 13:54:51 GMT 6
Bhai jan umda nazm hai, daad hazir hai taakheeri hi sahee. Mazaa aa gaya.
|
|