|
Laikin
Jul 21, 2008 17:05:43 GMT 6
Post by Atif Mirza on Jul 21, 2008 17:05:43 GMT 6
[glow=Black,3,400]"Laikin"[/glow] "Laikin" humari zindagiyoN maiN baRi ehmiyat ka hamil hai. Humarai haaN aksar masael "Laikin" say shuroo hotay hain. Zahir yehi hota hai keh asl mas'ala hi "Laikin" ka hai. Issay hum zindagi say nikaal nahiN saktay, mgar iss ki ehmiyat ko kum kar saktay haiN, Bilkul issy tarah jaisay kahiN koi kutta pagal hao jaey aur sub ko kat'ta phiray. Uss say chhutkara issi surat mumkin hai kah ussay maar diya jaey. Magar maarnay kay liaey koi hathyar ya zehr humaray paas nahin hai. Sirf aisa hathyar hai keh uss say kutta zakhmi ya behosh ho jaey. Zkhmi ho kar yah pehlay say ziyada khatarnak ho jata hai jab keh behoshi kay doran ussay ki zanjeer say jakra ja sakta hai ya kissi pinjray main band kiya ja sakta hai.Zanjeer say bandhnay kay baad sirf yeh qareeb aanay walon ko kaat sakta hai jab keh pijray main iss ka nuqsan na honay k brabar ho jata hai. Iss ki doosri misaal computer virus hai jisay delete na kar saknay ki surat main Quarantine kar diya jata hai, iss tarah virus de activate ho jata hai. Ab "Laikin" kay baaray main bhi yehi arz hai keh issay bhi pagal kuttay ki tarah ya tau pijray main band kar dain ya virus ki tarah Quarantine kar dain ya'ni iss ki ehmiyyat khatm kar dain.
|
|
|
Laikin
Jul 22, 2008 12:24:07 GMT 6
Post by Zagham on Jul 22, 2008 12:24:07 GMT 6
aatif saha acchi batain kahi hain aap nay is mazmoon main. waqie lakin ki ahmiat ko khatm kerna ho ga. lagta hay abhi mazmoon namukammal hay . kub tuk mukamal ho ga. yaqeenan us k baad aik bharpoor mazmoon parhnay ko milay ga
zagham
|
|
|
Laikin
Jul 23, 2008 0:46:08 GMT 6
Post by Atif Mirza on Jul 23, 2008 0:46:08 GMT 6
Atif sahab acchi batain kahi hain aap nay is mazmoon main. waqie lakin ki ahmiat ko khatm kerna ho ga. lagta hay abhi mazmoon namukammal hay . kub tuk mukamal ho ga. yaqeenan us k baad aik bharpoor mazmoon parhnay ko milay ga zagham Dr Sb aap ka nukta durust hai, abhi mujhay bhi iss inshaeay maiN kafi tashnagi meHsoos hoti hai. Koshish kar kay issay mukammal kardooN ga.
|
|
|
Laikin
Jul 26, 2008 22:08:05 GMT 6
Post by Bilal Mirza on Jul 26, 2008 22:08:05 GMT 6
Laikin iss kay ilawa chara hi kia hai?
|
|
|
Laikin
Jul 28, 2008 23:50:16 GMT 6
Post by Sania Sajjad on Jul 28, 2008 23:50:16 GMT 6
Theek kehte haiN Atif Sb aap bhi. Yeh LAIKIN ko nikalna hamare bus main nahi raha. Acha inshaiya likhnay per daad qabool kijie.
|
|