|
Post by Atif Mirza on Jul 3, 2008 18:43:49 GMT 6
Hamaray Forum ki aik rukn Ms Sania Sajjad ki mangni qara pa chuki hai. Hum unhaiN ba-zabita mubarak baad paish kartay haiN.
Mohtarma pichlay dinoN Lahore say Hyderabad shift huwi haiN, kiyooNkeh un kay walid ki posting ho chuki hai.
Un kay liay dheroN duaeN.
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 4, 2008 13:39:09 GMT 6
Khairmubarak Atif Sahib! Aap logon ki duaein chahti hoon. Asl maiN Father ki jab posting huwi tau unhoN nay Lahore hi main yeh kaam sar anjaam day diya tha.
|
|
|
Post by Razi-ud-Din Razi on Jul 6, 2008 0:44:52 GMT 6
sania sahiba ko mubarak baad dua hy zindagi ka yeh safar khushgawar rahay thanx razi
|
|
|
Post by Bilal Mirza on Jul 7, 2008 23:10:46 GMT 6
Sania Ji! Aap ki zindagi main piyar aa hi gaya. Ab aap aik computer ki tarah hain jis main VGA Card achchi quality ka hota hai. Allah aap ki nayee zindagi main khusiyan de. Aamen
|
|
|
Post by Zagham on Jul 8, 2008 14:17:58 GMT 6
sania sahiba mairi taraf say bhi mubarak bad qaool kijie
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 13, 2008 21:49:24 GMT 6
sania sahiba ko mubarak baad dua hy zindagi ka yeh safar khushgawar rahay thanx razi Razi Sb bohot shukria aap ki duaon ka.
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 13, 2008 21:58:16 GMT 6
Sania Ji! Aap ki zindagi main piyar aa hi gaya. Ab aap aik computer ki tarah hain jis main VGA Card achchi quality ka hota hai. Allah aap ki nayee zindagi main khusiyan de. Aamen Shukria Bilal Sb waqee meri life ke computer main VGA card ka izafa ho gaya hai.
|
|
|
Post by Sania Sajjad on Jul 13, 2008 21:59:14 GMT 6
sania sahiba mairi taraf say bhi mubarak bad qaool kijie Zagham sb khair mubarak or shukria
|
|